Aaj ek mood tha ke apna bhi naam web pe kardun,
Apna kamal e kalam ko nichavar sab pe kardun,
Kabhi serious kabhi humour ..yuhin casually likhun
Kabhi khushi kabhi gham...par usually likhun
Kalaam ka yuhin ek din maaher ban jaaun
Shayari ka yuhin mizaj e zaaher banjaun
Har kisi ke liye kuch interesting stuff ban jaye,
Jin ke liye strings haram hae,unke liye duff banjaye
Casual lagtha tho lazy logon ka khitaab hae
Par ye sabar walon ka bhi style of hisaab hae
Ab hamare blog pe aksar aathe rehna Casual!
Naye andaaz ko himmath dilana b sawaab hae!
Wednesday, January 6, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)